hamara desh abhi tak azaad nahi hua hai
ye azaad tab hoga jab humein sahi maaine mei azaadi meilegi
1947 mei jab bharat ke logo ne kaha ki hamara desh azaad hai
tabhi dusre desho ke logo ne kaha ki ab to ye barbaad hai
gareebi ka saaya to aisa hai jaise samundar mei namak ho
berozgaari ka asar aisa hai jaise bin mausam ki barsaat
ek ghar mei jaise ek gate
utni hamre desh ki literacy rate
ye chize to fir bhi humne sudhaari
lekin kabhi na aai corruption ki baari
corruption mei hamara desh hai sabse aage
1947 se 2011 mei jakar desh ke log jaage
kaun karta sarkaar ka muh band
jawaab hai "anna ka anshan"
aana ji ne ek kadam badaya desh ki azaadi ke liye
vo ek kadam tha dekh ki abaadi ke liye
jo unhone kiya 74 saal ki umar mei
34 saal ke log ghar baithkar move lagate apni apni kamar mei
anna ji ne ek chiz pe gaath baandli
vo tha unke hosle ko nahi tutne dena aur sarkar ke aage haar nahi maan ni
logo ki aakhein khuli to dekha jo ho rha hai unhi ke liye ho rha hai
unhone anna ji ka saath diya
aur kadam se kadam milakar haath mei haath diya
lok pal bill lao ye tha puri desh ka naara
corruption ko jad se bahar nikalna tha sab ka iraada
pure desh ne apna apna kaam chod dia
aur desh ki gaadi ke paiyo ko ek naye raaste pe mod dia
sarkaar ko maani padi anna ki saari baatein
kyoki desh ke liye bhagti dikhti jab sab log milke "jan man gan" gaatein
abhi khatam nahi hui hamari ladai aisa anna ne kaha
desh ki safai karni baaki hai
hamara desh sudhrega
aur duniya ka sabse acha desh kehlaega. .
jai hind
written by
naman sharma